In badalon ki parchaayi,
Kuch yun hai gehrayi,
Jaise na samajh sake hum zindagi ko kabhi
Jo samjhe to lagi wo nasamjhi hi sahi...
Har chehra ek sawaal ban jaaye,
Har sawal ek khayal le aaye,
Aaina dekh kar yun sawaal utha abhi,
Na jane ye kaun hun, shayad aaine ki bekhudi...
Waqt ki daud thame na thame,
Wajood ki talash me yun jite rahe,
Par koi is dil se ye kahe to sahi,
Ki saansen abhi thami nahi!
Jaane kahaan raah chhod aaya kabhi,
Main hokar bhi main na ho paya kabhi,
Dabe zehen ki saanson ka shagird jo bana
Baarish me ye aansun chhupa aaya kahin!
In palkon ki parcchayi,
Ab fir hai gehrayi,
Kash samajh sakte hum khud ko kabhi,
To shayad is kaagaz pe aaj yun na hoti nami.........