In badalon ki parchaayi,
Kuch yun hai gehrayi,
Jaise na samajh sake hum zindagi ko kabhi
Jo samjhe to lagi wo nasamjhi hi sahi...
Har chehra ek sawaal ban jaaye,
Har sawal ek khayal le aaye,
Aaina dekh kar yun sawaal utha abhi,
Na jane ye kaun hun, shayad aaine ki bekhudi...
Waqt ki daud thame na thame,
Wajood ki talash me yun jite rahe,
Par koi is dil se ye kahe to sahi,
Ki saansen abhi thami nahi!
Jaane kahaan raah chhod aaya kabhi,
Main hokar bhi main na ho paya kabhi,
Dabe zehen ki saanson ka shagird jo bana
Baarish me ye aansun chhupa aaya kahin!
In palkon ki parcchayi,
Ab fir hai gehrayi,
Kash samajh sakte hum khud ko kabhi,
To shayad is kaagaz pe aaj yun na hoti nami.........
I Fail...I Pass
7 years ago
3 comments:
Nasamjhi ki parchayi mein
Anubhav ki gehrayi hai
Kash dekh sakte khudko hamari nazron se kabhi
To shayad is kaagaz pe hoti muskurahaton ki chavi
i wanted to make it mre hopeful...but i am nt myself budding with optimism..but i wish u were...every mistake is an experience u gain..
luv u...
Apno ko aaj tak samjha hai kaun
Apno ko jaana hai kaun
Kuch apno ke nikhao me bus ke
jii ke dekho to zara
fir muskarat ko bhi chor paya hai kaun!
Firstly Wb sweetheart :)
Glad to see u back ....chalo humare kehne ka kuch to asar hoya :)
Beautifully penned ur feeling just keep them flowing and one day optimism will replace the pessimism
@shwe u want that optimism back samjhe >:D<
Loads of Love,
* I am sure u know who am i :P
@NABS YES I KNOW WHO YOU ARE :P
And thanks.. :) Its nice to be here again.
Post a Comment