rss
email
twitter
facebook

Sunday, July 31, 2011

Haqeeat

Unhe yun masoom samajh kar main mohabbat karta gaya, 
Unke har lafz ko ibadat samajhta gaya, 
Aaj zehen me lafzon ka sailaab umada hai, 
Main behte behte yunhi hansta gaya.

Har sawal ek aina sa ban gaya hai, 
Jise dekh main khud ka hi putla banta gaya, 
Unka wo baandha hua sama, 
Har pal ke saath tanha banta gaya.


Ab is goonj ki haqeeqat kuch aisi hai, 
Ke apni hi niyat par main ghaav bunta gaya, 
Ek baar bhi peeche mudke na dekha unhone, 
Main najane kyun unhe sunta gaya.......

0 comments: